Sunday, June 22, 2008

prateeksha

Harivansh Rai Bachhan

Madhur Prateeksha hii jab itni,
priya tum aate tab kya hota?
Tumne kab dii baat,
raat ke soone me tum aanewaale,
Par aise hii waqt pran man,
mere ho uthate matwaale,
saansen ghoom-ghoom phir-phir se,
asmanjas ke kshan ginati hai,
milne ki ghadiyaa.N tum nischit yadi kar jaate tab kya hota?

Baith kalpana karta hoon,
pagchaap tumhari mug se aati,
rag-rag mein chetanata ghulkar,
aansoon ke kann si jhar jaati,
namak dali sa gal apnapan,
sagar mein ghulmil sa jaata,
apni baahon mein bharkar priya,
kanth lagaate tab kya hota?

No comments:

About Me

My photo
Noida, Uttar Pradesh, India